vbhghdhdhhhh

Happy Independence Day "Mera Bharat Mahan "

Jiski gaurav garima par hai, bachche-bachche ko abhimaan. Ganga Yamuna Brahmputra hain, gaati jiske jai ke gaan, Satya-ahinsa tatha prem ki, Geeta tatha Ved ka gyaan. jai-jai Bharat desh mahaan, jai-jai Bharat desh mahaan, Ram-Krishan Gautam Gandhi se, Jis paawan dharti par aate. Dya-Vivekanand sadrish hain, satya dharm ka paath parhaate. Himgiri jiska swarn mukut hai, Hind Mahasaagar hai jiska maan. jai-jai Bharat desh mahaan, jai-jai Bharat desh mahaan, Punah banega guru vishav ka, de maanavta ka sandesh. Jiski sanskriti aabha se hai, mahamandit yeh Bharat desh. jai jawan aur jai kisaan, jai vigyaan aur jai bhagwaan jai-jai Bharat desh mahaan, jai-jai Bharat desh mahaan,